Kehtay Thay Shahay Umam Anwar Utho Utho
Dekho Hussain Aya Hai Akbar Utho Utho
Athara Saal Kay Meray Kadiyal Jawan Pisar
Tadpon Na Kaise Mai Teri ye Halat Dekh Kar
Laila Toh Mar hi Jayegi Pounchay Jo Ya Khabar
Dil Beqarar Hai Mera Dilbar Utho Utho
Dekho Hussain Aya Hai Akbar Utho Utho
Armaan Tha Maa Ko Beeyah kay Dulhan Mai Laongi
Noray Nazar ko Apnay Mai Dulha Banaongi
Rukh Par Mai Apnay Lal Kay Sehra Sajaongi
Kaise Woh Dekhay Khoon Bhara Manzar Utho Utho
Dekho Hussain Aya Hai Akbar Utho Utho
Kiya Sitam ye Tujh Par Huwa Aye Pidar ki Jaan
Taariq Kyun Na Huwa Meri Ankhon May Ya Jahan
Ye Teray Dil Ka Zakqm ya Tuti Huwi Sina
Chalta Hai Meray Qalb Pe Khanjar Utho Utho
Dekho Hussain Aya Hai Akbar Utho Utho
Kya Thi Khabar ye Dushman-e-Deen Yun Sataengay
Jis Ki Nahi Hai Hadh Woh Sitam Tum Par Dhaengay
Tasveer Khaakh May Yun Nabi Ki Milayengay
Kya Sotay Ho Shabi Hay Payambar Utho Utho
Dekho Hussain Aya Hai Akbar Utho Utho
Dekho Meri Nigah Mai Tariq Hai Jahan
Bechain Hai Mazaar Mai Payambar-e-Zaman
Hai Zalzala Zameen ko Khoonbhara Asman
Barpa Hai Kayanath May Mehshar Utho Utho
Dekho Hussain Aya Hai Akbar Utho Utho
Kis Tarha Say Raza Kar'on Manzar Woh Main Bayan
Laye Hussain Qaimoun Mai Jab Lasha-e-Jawan
Ahle Haram Kay Bain woh Faryad woh Fughan
Chilati thi Sakina Baradar Utho Utho
Dekho Hussain Aya Hai Akbar Utho Utho