Tha Saaniye Zehra ka Nouha, Ghar haay Mera barbaad huwa
BhaiMera pyaasa qatl huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa
Abbas ka kitna khoon baha, Shaane bhi kate Mashkiza Chhida
Kis Haal me wo ghode se gira, Ghar haay Mera barbaad huwa
Atthara baras wala Akbar, Shabbir ka Dil Laila ka Jigar
Shaq naize se dil Uska jo Huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa
Chhe maah ka wo Asghar Pyasa, Gardan pa jo uske teer laga Tha Bhai
Ke Haatho'n par Lasha, Ghar haay Mera barbaad huwa
Shabbir zamee'n par jab Aaye, Zehra Ne Tadap kar Bain Kiye
Aye Lal Tera kya haal huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa
Sajde me Rakha Shabbir Ne Sar, tha shimr ka khanjar Gardan par
Ghurbat me Namazi zib'ha Huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa
Tha Bhai ka Lasha reti par, phir Uspa Qayamat ye guzri
Ghodo'n se Badan pamaal huwa, Ghar haay Mera barbaad huwa
Akhtar tha Qayamat ka manzar, maqtal ki zamee'n bhi kaamp uthi
Zainab Ne Tadap kar jab ye Kaha, Ghar haay Mera barbaad huwa