phir chand moharram ka namudar hua hai
phir chaak dil e ahmade mukhtar hua hai
is chand mein qasim ke kate daste hinaai
sar nanga dulhan ka sare bazaar hua hai
phir chand moharram ka...
is chand mein baazu kate abbase jari ke
thanda alam e ahmade mukhtaar hua hai
phir chand moharram ka...
is chand mein akbar ke lagi seene pe barchi
asghar hadaf e teere sitamgaar hua hai
phir chand moharram ka...
is chand ki dasvi ko behan bhai se chooti
pamaal tan e sayyade abraar hua hai
phir chand moharram ka...
is chand mein abid ke pada tauq galay mein
aur qaid bhi wo saahibe aazaar hua hai
phir chand moharram ka...
khusnoodi e zehra ka wo haamil hua akhtar
jo sibte payambar ka azadar hua hai
phir chand moharram ka...