yaad aati hai watan ki yaad aati hai
muharram mein hame apne watan ki yaad aati hai
kare kis se gila pardes mein ay fatema zahra
muharram mein hame apne watan ki yaad aati hai
ay bibi majlis o matam ka mausam aane wala hai
tadapte hai ke ab maah e muharram aane wala hai
ghutan hoti hai is pardes mein ab dil nahi lagta
muharram mein hame apne...
sada jab majlis o matam ki in kano mein aati hai
watan ki yaad humko khoon ke aansu rulaati hai
tadap jaata hai dil tanhaion mein ham gareebon ka
muharram mein hame apne...
manaye kis tarha ye gham bahot majboor hai bibi
phata jaata hai dil apne watan se door hai bibi
labon par dam ba dam aata hai shehzadi yehi fiqra
muharram mein hame apne...
kare bhi kis tarha khul kar shahe waala ka hum matam
manaye kis tarah pardes mein un bekason ka gham
wo ghar zindan lagta hai jahan matam nahi hota
muharram mein hame apne...
tamanna thi ke ghar jaa kar azakhana sajayenge
alam abbas ka khud apne haathon se uthayenge
chadhayenge jari ki mashk par phoolon ka ek sehra
muharram mein hame apne...
ziarat ke liye ashoor ki shab hum nikalte thay
to apne gaon ke har taziya-khane mein jaate thay
kuch is andaaz se dete thay hum mazloom ko pursa
muharram mein hame apne...
pilaate thay jo hum naam e sakina par wahan pani
kuch is andaz se karte thay pyason ki nigehbani
watan mein ehtemaam is tarha karte thay sabeelon ka
muharram mein hame apne...
kaleja hoga uski yaad mein ek bar phir zakhmi
uthegi jis ghadi farwa tumhare laal ki mehndi
karenge zabt kaise saatvi ko hum mere aaqa
muharram mein hame apne...
mere maula ye sab majbooriyan jeene nahi deti
paraye des mein ye dooriyan jeene nahi deti
bula lije hamein apne watan ab jald ay maula
muharram mein hame apne...
duayein maangte hai roz hum apne musalle par
ke hum pardes se kab laut ke jayenge apne ghar
na jaane kab sajayenge ali asghar ka gehwara
muharram mein hame apne...
bhara ghar lut gaya zehra ka ek pardes mein aa kar
kahin asghar ki mayyat hai kahin hai laasha e akbar
bikhar ke reh gaya dashte bala mein shaah ka kunba
muharram mein hame apne...
na roya hai shabab itna kabhi pardes mein koi
watan ki yaad mein aamir sakina jis qadar royi
wo bachi aaj bhi zindan mein padti hai yehi nauha
muharram mein hame apne...