haye nana teri zainab phiri dar dar rasan basta
nabi ke paak rauze par kaha zainab ne ye ro kar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
madina laut aaye hai haram zindan se chut kar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
qayamat mujhpe jo guzri wo haal e gham sunaungi
hai mere baazuon pe neel wo nana dikhaungi
laraz uthe hai baam o dar pukari zainab e muztar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
ay nana roz e ashoora bhara ghar lut gaya mera
chini chadar mere sar se jala daaman sakina ka
abhi tak jalte qaimon ka hai mere saamne manzar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
ba waqte asr e ashoora ye hum par waqt bhi aaya
nawasa aap ka nana tahe khanjar tadapta tha
tadap uthi mai bhai ke galay par jab chala khanjar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
sitam aur zulm aisa to nahi hota zamane may
sakina reh gayi tanha andhere qaid khane may
kahungi kya mai sughra se nahi aaya ali akbar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
mai ho kar qaid ay nana sar e bazaar jab aayi
rasan basta mai roti thi ke majma tha tamashayi
behan baaghi ki aayi hai hamay maare gaye pathar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
mere abbas ke baazu kate darya kanare par
sitam ki hadh hai pyasa hi lehad may sogaya asghar
na ab aun o mohamed hai na ab hai qasim o akbar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
ay nana roz o shab zainab qayamat se guzar hai
jo bhai yaad aata hai ye dukhiya roz marti hai
karungi kya mai ab jee kar hua barbaad mera ghar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...
mohib tareekh ne likha bapa har simt mehshar tha
kiye jab bain zainab ne utha phir shor matam ka
ay nana lijiye pursa ye kehti thi wo nauhagar
watan mai aagayi hoo watan mai aagayi hoo
nabi ke paak rauze par...