shehre madina mein phir hogaya mehshar bapa
aaya hai ghar laut kar ujda hua khafila
lut gayi aale nabi bas gayi karbobala
goonjta hai farsh se arsh talak marsiya
ya madinato jaddena la takbaleena
ya mustafa haye ya mustafa
hazrate kulsoom ke bain bhi kya bain hai
roti hai ummul baneen fatema bechain hai
zer e lehed ghamzada sayyed e kaunain hai
aaj mazaar e nabi ban gaya maam kadha
ya madinato...
ya mustafa...
haye jo ruqsat mein tha aaj wo manzar nahi
farwa hai qasim nahi laila hai akbar nahi
ujdi hui godh hai maa hai to asghar nahi
poochegi sughra agar usko bataungi kya
ya madinato...
ya mustafa...
bichde huon se galay milna to dastoor hai
ek musafir magar dard se majboor hai
durron ki bauchaar se saara badan choor hai
aaye hai milne chacha kya kare zainul leba
ya madinato...
ya mustafa...
milne sakina se sab aayi hai hum jholiyan
bibiyan khamosh hai goonjti hai siskiyan
hazrate sughra udhar lene lagi hichkiyan
kaun bataye bhala dard bhara maajera
ya madinato...
ya mustafa...
dasht mein kaate gaye khushk galay kis tarha
kis tarha kadki kamaan teer chale kis tarha
kaise ridayein chini qaime jale kis tarha
abid e bemaar ki aankhon mein hai sab likha
ya madinato...
ya mustafa...
kaun bataye ye kya guzri hai bazaar mein
kitne tamashayi thay shaam ke darbar mein
majma e aghiyaar mein nargha e kuffar mein
fatema ki betiyan kaisi gayi berida
ya madinato...
ya mustafa...
maadar e abbas ko kaise sunani sunayein
kurta hai shabbir ka nana ko kyunkar dikhayein
marsiya barson ka hai lamhon mein kaise sunayein
ya ali batlaiye kya kare zainab bhala
ya madinato...
ya mustafa...
kaun bayan kar sake nayyar o aamir wo bain
chashme tasavvur mein hai aaj bhi wo shor o shain
kaise ye aansu ruke kaise mile dil ko chain
goonjti hai kaan mein aaj talak wo sada
ya madinato...
ya mustafa...