Kanz e Aza

Wavaila Alamdar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Sajjad Mir (2026). Lyrics in Roman Urdu.

jab suni sheh ne sada ran mein alam gir gaya

sheh ne kamar thaam li qaimon mein kohraam tha


shaah ne akbar se ye ro kar kaha

le chalo laashe pe alamdar ke

gir gaya uska alam ho gaya hum par sitam

le chalo laashe pe alamdar ke


wavaila alamdar wavaila alamdar

wavaila alamdar wavaila alamdar


hum se chala bhi nahi jaata hai ab

haste hai mazloom ki haalat pe sab

thaam ek baazu mera ay ali akbar zara

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


haathon mein raasha hai kamar mein hai kham

jaanibe maqtal nahi badte qadam

hum nahi reh payenge laash pe to jayenge

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


jo bhi gira usko uthaata tha wo

qaimon mein har laash ko laata tha wo

shimr se keh do zara kaate na sar bhai ka

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


haye mera battees baras ka jawan

gir gaya maqtal mein na jaane kahan

pani jahan hai gira hoga wahin bawafa

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


kuch bhi zaban se na batyega wo

hum se har ek dard chupayega wo

uski hai ye hichkiyan sun na le saydaniya

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


haath juda jism se kaise huwe

kaise nazar aate hai tukde pade

haye mera bawafa hogaya pamaal kya

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


seene se ek baar lagalun usay

godh mein sar rakh ke sulalun usay

beton se bad kar hai wo saani e hyder hai wo

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


kya hua gar yan nahi umme baneen

laashe alamdar akeli nahi

roti hai maa fatema hai ye unhi ki sada

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...


kya likhe sajjad bayan e hussain

aata nahi tha unhe ek pal bhi chain

khaak pe gir jaate thay ro ke ye farmate thay

le chalo laashe pe alamdar ke

wavaila alamdar...