Kanz e Aza

Zehra Kaisi Ho Meri

A noha written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

zehra kaisi ho meri beti


baba baba baba baba

mushkil may hai teri beti


godhi ki aadat hai usko

kaise mai usko uthaaun

baba baba baba baba

kulsoom choti hai meri

zehra kaisi ho...


zaalim ne taaqat se apni

maara hai aise tamacha

chehra dekho chehra dekho

paywast hai meri baali

zehra kaisi ho...


karbobala yaad aayi

jab ye hussain aa ke bola

amma mat ro amma mat ro

dekho mai laaya hoo pani

zehra kaisi ho...


maara hai zauja ko unki

ye baat khaati hai unko

baba dekhein baba dekhein

gardan jhuki hai ali ki

zehra kaisi ho...


ab kis se baatein karungi

mohsin mera mar gaya hai

baba dekhein baba dekhein

veeran hai meri godhi

zehra kaisi ho...