azadari e shabbir zehra ki amanat hai
azadari e shabbir zainab ki inayat hai
firaun e jahan larza barandaam hai is se
sab se badi taaqat hai azadari e shabbir
zehra ki amanat hai...
aana ho jise sar pe kafan baandh kar aaye
maidan e shahadat hai azadari e shabbir
zehra ki amanat hai...
islam jo aalam may salamat hai abhi tak
hai yun ke salamat hai azadari e shabbir
zehra ki amanat hai...
is farshe aza ko nahi hum sab ki zaroorat
hum sab ki zaroorat hai azadari e shabbir
zehra ki amanat hai...
sajdon se to jannat ki hawa bhi na milegi
jannat ki zamanat hai azadari e shabbir
zehra ki amanat hai...
mai to gham e sarwar ke liye khalq hua hoo
meri to ibadat hai azadari e shabbir
zehra ki amanat hai...