zehra ki duayein lo matam karo sarwar ka
azadare hussain
gham geen fizayein hai pursa do bahattar ka
azadare hussain
lab rayz ho dil apne bas jaam e mawaddat se
ghabrao na ay logon tum aisi shahadat se
hyder ki shuja'at ho aur jaam ho kausar ka
azadare hussain
zehra ki duayein lo...
abbas ke parcham ke saaye mein jo aa jaye
hurr jaise muqaddar ho jannat ki hawa paaye
parcham hai nigahon mein abbas e dilawar ka
azadare hussain
zehra ki duayein lo...
seene pe lagi barchi surat thi nabi jaisi
akbar ki sada aayi lo baba khabar meri
wo jaan tha laila ka matam karo akbar ka
azadare hussain
zehra ki duayein lo...
maidan mein le aaye shah aakhri dilbar ko
ek teer e tabassum se behladiya lashkar ko
wo faatah e karbal hai matam karo asghar ka
azadare hussain
zehra ki duayein lo...
abid ko rulaya tha khoon aise layeeno ne
be makhna o chadar ke thi aale nabi ban mein
matam karo abid ka aur zainab e muztar ka
azadare hussain
zehra ki duayein lo...
azhar ne likha nauha ye kaisi qayamat ka
aansu jo nikal aaya parwana hai jannat ka
ho rutba usay haasil jo meesam o khambar ka
azadare hussain
zehra ki duayein lo...