Kanz e Aza

Ay Parchame Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Azhar. Lyrics in Roman Urdu.

ay parchame abbas pharere ki hawa de

bas jaye jo sanson may wo khusbu e wafa de


baandhi hui ek mashke sakina hai alam may

ghazi tere parcham ki ye pehchan kara de

ay parchame abbas…


ta hashr rahe parchame abbas ka saaya

jo ranj o musibat ki hawaon se bacha de

ay parchame abbas…


ya rab koi masooma na is tarha se tadpe

ro ro ke jo zindan ke dar o baam hilade

ay parchame abbas…


ye soch ke jaati hai sakina suye darya

ammu mere daaman may lagi aag bujhade

ay parchame abbas…


kehti rahi maadar se watan jayenge kab tak

aisi koi surat ho jo sughra se milade

ay parchame abbas…


thukraya hai baiyat ko yun shabbir ne azhar

hai kaun jo dunya may sawal iska uthade

ay parchame abbas…