Kanz e Aza

Hussainiyo ke Liye

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Azhar. Lyrics in Roman Urdu.

hussainiyo ke liye josh o walwala abbas

yazeediyo ke liye qehre kibriya abbas


duayein aaj bhi maqbool hai tere dar ki

buland paaya hai wo tune martaba abbas

hussainiyo ke liye…


chala to mashke sakina ko bhar ke suye qayam

ghazab hai teere sitam ka hadaf bana abbas

hussainiyo ke liye…


rahegi zaamine tameele hukme shaahe umam

labe furaat wo pyasi teri wegha abbas

hussainiyo ke liye…


har ek gaam pe kehte thay sayyede sajjad

madad ko aaiye behre khuda chacha abbas

hussainiyo ke liye…


dayaare shaam mein zainab pukaar uth'ti thi

ridaye paak ke waaris hai be-rida abbas

hussainiyo ke liye…


bhatak na paaye wo azhar jo sheh ka zaair hai

ye karbala mein dikhate hai maujeza abbas

hussainiyo ke liye…