abbas e jari faatahe khyber ki tarha hai
hyder ka pisar shaan mein hyder ki tarha hai
khud shaam ki faujon mein hai aata hai alamdar
is sher ke hamle se khabar daar khabar daar
tanha bhi hazaron mein ye lashkar ki tarha hai
hyder ka pisar...
ye dam hai bhala kis mein jo is sher ko roke
ek mashk mein le jayega darya ko sumon ke
aada ke liye halq pe khanjar ki tarha hai
hyder ka pisar...
be-taygh bhi darya ko kiya fauj se khaali
is sher ka har waar hai hyder sa misaali
ye baad e nabi deen ke rehbar ki tarha hai
hyder ka pisar...
dada ki jagah saath hai is aas ka hona
kehti hai sakina chacha abbas ka hona
pyason ke liye saaqi e kausar ki tarha hai
hyder ka pisar...
ro ro ke ye abid se kaha binte ali ne
darya pe jise maar diya fauje shaqi ne
wo sher wafaon ke payambar ki tarha hai
hyder ka pisar...
mil jaata gar sakina ko jo ek boond bhi pani
sharminda na hoti kabhi darya ki rawani
darya bhi sakina ke muqaddar ki tarha hai
hyder ka pisar...
kehti hai mohamed ke gharane ki fiza bhi
abbas nahi hai to zamane ki fiza bhi
ek khoon mein doobe huwe manzar ki tarha hai
hyder ka pisar...
is zulm se jo mesum o mehboob bachaye
aada se rida zainab e muztar ki dilaye
ab kaun shahe deen ke dilbar ki tarha hai
hyder ka pisar...