Kanz e Aza

In Kasarat Zahri

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

do haath haathon par liye kehte thay ye sibte nabi

bhai mera maara gaya kis kaam ki ab zindagi

in kasarata zahri ya aqi in kasarata zahri ya aqi


monis nahi hamdam nahi nasir nahi yawar nahi

dushman ke lashkar char soo mera koi lashkar nahi

abbas aankhein khol kar dekho to tanhaai meri

in kasarata zahri ya aqi...


kis se kahun dunya ne jo tujhpar mazalim dhaaye hai

aankhon se dekhun kis tarha jo zakhm tu ne khaaye hai

shaane kate sar shak hua aankhon mein aaye teer bhi

in kasarata zahri ya aqi...


keh dunga kya kulsoom se zainab se kya batlaunga

teri sakina ko bhala kya keh ke mai samjhaunga

khaali alam le jaunga qaime ke dar par jis ghadi

in kasarata zahri ya aqi...


qaime mein hai mehwe dua sab behne teri chaah mein

bacche bhi hai muntazir aankhein bichaye raah mein

kooze liye hai haath mein teri bhatiji laadli

in kasarata zahri ya aqi...


dil mein koi dehshat na thi khatra koi sar par na tha

bhaiya tere hote huwe dushman ka koi darr na tha

ab wo bhi ruqsat hogayi bacchon ko ek dhaaras jo thi

in kasarata zahri ya aqi...


jab karbala ke dasht mein shaam e ghariban aayegi

qaimon se uthega dhuaan kaali ghata cha jayegi

aakhir sada degi kise meri behen ki bekasi

in kasarata zahri ya aqi...


beti wo jis ke naaz khud hyder uthaate aaye ho

hamraah jis hamsheer ko athara bhai laaye ho

ab us behen ke sar se bhi us ki rida chin jayegi

in kasarata zahri ya aqi...


kya alqama ke ghaat par matam kuna hai koi maa

kya baal apne khol kar roti hai khatoone jina

ye kis ke nauhe ki sada lohe se takrane lagi

in kasarata zahri ya aqi...


nayyar nahi likh payega aamir nahi pad payega

abbas ka matam hai ye seene mein dil phat jayega

jo marsiya sheh ne padha wo marsiya soche koi

in kasarata zahri ya aqi...