khaali jhoola bulata hai kab aaoge asghar
maa ka dil ghabrata hai kab aaoge asghar
har soo dasht mein shaam e ghariban
ke saaye lehrane lage
maut ki baahein phail gayi
tanhaai ke baadal chaane lage
suraj run mein qatl hua
darya khoon mein doob gaya
sannata tadpata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...
kaash agar bas chalta mera
maut se tujh ko bacha laati
qaime se khud ran mein aa kar mai
teer galay par khaa leti
rooth gaye kyun ay dilbar
jaata hai jab koi baher
shaam ko wo aa jaata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...
teer galay par khaake bataya
qurbani kya hoti hai
has has ke yun dam toda hai
maut bhi tujh par roti hai
khoob hui ye mehmani
paaya na marte dam pani
teer koi yun khaata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...
tum hi batao jaaun kahan mai
band hai sab raahein meri
jholi mein ab kuch bhi nahi
veeran hui baahein meri
beta mai tujhse bichad gayi
dunya meri ujad gayi
gham mujhe khaye jaata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...
aane waale aaye magar
is tarha dilaase deke gaye
aag lagayi qaimon mein
ghar loota chadar leke gaye
haal kahun kya ay jaani
pursa deti hai veerani
dard mujhe samjhata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...
karbobala ke dasht mein aakar
phoot gayi qismat meri
ran ki zameen se uthke zara sa
dekh to lo haalat meri
kaise kahun kyun jeeti hoon
khoon ke aansu peeti hoon
moo ko kaleja aata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...
qaid mein bhi bhoole se meri
aankhon mein agar neend aati hai
khwaab mein chehra dekh ke tera
chaunk ke maa uth jaati hai
kho gayi jhoole ki dori
kis ko sunaun mai lori
haath yuhin lehrata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...
maqta likhte likhte nayyar
mujhko achanak aisa laga
jaise kisi ne rakh diya laa kar
mere tasavvur mein jhoola
aamir ne nauha jo padha
dil ko ye mehsoos hua
loriyan koi sunaata hai
kab aaoge asghar
khaali jhoola bulata hai...