kisko be-deeno ne maara ay zameene karbala
hai payambar ka dulara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
pani pani jab ke ho jayegi ye kheti tamam
ek tu hogi kanara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
kis tarha khodi lehad kya guzri dil par shah ke
jab ke asghar ko utara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
laa rahe hai shaahe wala asghare baysheer ko
ya koi quran ka paara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
lo chali maqtal ko ye kehti hui umme rabab
mujhko asghar ne pukara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
baap peeri mein utha'ta hai jawan bete ki laash
de zara bad kar sahara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
dekhna turbat mein asghar ka zara rakhna khayal
saare ghar ka hai dulara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
ye batade kis tarha mayyat pe pahunche thay hussain
jab ke akbar ne pukara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…
le liye tune meri godhi ke paale boli maa
ab karoon kyun kar guzara ay zameene karbala
kisko be-deeno ne…