Kanz e Aza

Kisko Doo Mai Lori

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

kis ko doo mai lori


asghar mera reh gaya ran mein

maa ye ro kar boli

kis ko doo mai lori


shaam e ghariban cha gayi ban mein

mera dil ghabraye

ghar nahi aaya asghar mera

phail gayi tareekhi

kis ko doo mai lori...


tum nahi aaye tum nahi aaye

kitna pukara maine

maa se khafa kya ay shehzaade

yun hota hai koi

kis ko doo mai lori...


aaja mere asghar aaja

rooth gaya kyun beta aa

ujde ban mein nauha kuna hai

maa phailaye jholi

kis ko doo mai lori...


tujhko kahan mai dhoondne jaaun

tujhko kahan se laaun

meri godhi chod ke tu ne

basti door basaali

kis ko doo mai lori...


tere bina is dukhiya maa ko

kaise bhala chain aaye

tera jhoola bhi soona hai

meri godh bhi sooni

kis ko doo mai lori...


apne watan se door yahan par

karbobala ke ban mein

kho gaya mera laal kahin par

reh gayi jholi khaali

kis ko doo mai lori...


gohar yehi kehte kehte

mar gayi maa asghar ki

godh mein apni kis ko sulaan

kis ko doo mai lori

kis ko doo mai lori...