Kanz e Aza

Kitne Dard Sahogi Maa

A noha written by Mubarak Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ro ro kar sarwar ka hai nauha

kitne dard sahogi maa

qam hai kamar aur pehlu shikasta

kitne dard sahogi maa


saans bhi lena hogaya duubhar

tooti phasli lagti hai dil par

gham se alood hai aap ka chehra

kitne dard sahogi maa

ro ro kar sarwar...


baith ke ab padti hai namazein

nauha kuna hai aahein karahein

neend aati hi nahi ek lamha

kitne dard sahogi maa

ro ro kar sarwar...


kya kare zahra haye haye

kis se kitne zakhm chupaye

karte rahe shabbir ye girya

kitne dard sahogi maa

ro ro kar sarwar...


lakhte jigar is deen ko bachane

jaoge pardes basane

hoga wahan bhi tera nauha

kitne dard sahogi maa

ro ro kar sarwar...


bole sheh jab zeen se girunga

amma mai teeron pe rahunga

degi sada phir halq e bureeda

kitne dard sahogi maa

ro ro kar sarwar...


zehra ki aghosh ka paala

tadpa kar maara jayega

mujhpe hasega lashkare aada

kitne dard sahogi maa

ro ro kar sarwar...


bache mere pyase hi rahenge

barchiyan seeno par khayenge

jab ke nikalunga mai naiza

kitne dard sahogi maa

ro ro kar sarwar...


kaise mubarak likhe masayib

gham bhi hai irfan ajayeb

karbobala mein kaun hai kehta


sunte sunte mar gayi bibi

thaame hue kuch tooti hui phasli

kehta raha haye ek bacha