Kanz e Aza

Laashe Qasim Pe

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Mubarak Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

laashe qasim pe boli sakina

mar gaya haye ek shab ka dulha


ek suhagan hui aaj bewa

mar gaya haye ek shab ka dulha


laashe qasim hai aur ek dulhan hai

ye dulhan hi to meri behan hai

dekha jaata nahi is ka chehra

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


kitne tukde huwe tere bhaiya

jab aba may tumhe laaye bhaiya

mai ye samjhi ke hai tera sehra

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


kya khabar thi ye mujhko ay bhai

maut aayi hai tujhko ay bhai

teri mayyat hai aur hai sakina

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


teri mayyat nahi dekhi jaati

wo kalayi bhi hai khoon may doobi

jis pa baba ne baandha tha kangna

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


kaise bewa jiyegi ay qasim

jab safar tay karegi ay qasim

nok e naiza pe sar tera hoga

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


kaun us se batayega aakhir

bekason ka na tha koi nasir

kufiyon ne unhe maar daala

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


laashe qasim hai aur hai qayamat

ud gayi ruye kubra ki rangat

jis ghadi dekha waaris ka laasha

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


dekha maa ne jo bete ka laasha

yaad waaris ka aaya kaleja

jin ka tukde jigar tasht may tha

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


rukh madine ki jaanib kiya jab

boli sun ke ye sughra ay ya rab

ho chuki hai behan teri bewa

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...


gham mubarak o rehan roko

sunke behsoh hai farwa gham ko

ye sukhan sun ke roti hai zehra

mar gaya haye ek shab ka dulha

laashe qasim pe...