laashe qasim pe chillaye akbar
chod kar humko bhaiya na jao
dekho qaime may shore fughaan hai
gham may har ek nauha kuna hai
baal bikhraye roti hai madar
chod kar humko...
tum nishani thay ammu hassan ki
bangaye aaj zeenat bhi ran ki
tukde tukde hua jism e athar
chod kar humko...
baal bikhraye baithi hai kubra
khaak malti hai sehre pe dukhiya
dekho uthkar ye hasrat ka manzar
chod kar humko...
apne gham may na itna rulao
rehm sheh ki zaeefi pe khao
do tasalli to ammu ko uth kar
chod kar humko...
hashr tak hogi ab aah o zaari
sab uthayenge mehndi tumhari
bazme matam bapa hogi ghar ghar
chod kar humko...