laaya hu mai bazu uthakar dekho na zainab
margaya abbase dilawar dekho na zainab
pyas bujhane bachou ki darya gaya abbas
pohancha du pani qaimou tak dil me liye tha aas
alatash bachou ki sadae aur qali kooze
dekh ke jaise chubh rahe the seene me naize
beet rahi thi kya kya us par
hukm tha abbas ko mera na chale talwaar
isliye aada ne chalaye ghazi par hatiyaar
toote us par saare sitamgar
mashk chidi jab beh gaya pani toot gayi sab aas
kardiya aada ke hawaale qud ko phir abbas
gir gaye bazu dono kat kar
zaanu par abbase jari ka sar rakh kar bola
jab bhi tumne mujhe pukara aaqa aur moula
sogaya mujhko bhai keh kar
sharminda sakina se hu kehta tha abbas
na le jaye lasha mera ab pyasou ke paas
chod aya jalti zamee'n par
ab kuch der me hum bhi tum se hoyenge juda
jal jayenge qaime sar se cheenenge rida
kat jayega mera bhi sar
aaya alam behan mujhe jhukta hua nazar
pohancha mai yu furaat par thaame hue kamar
zaqmou se choor tha dil aur
ghazi ki aankh par bahan teere sitam laga
bedast teer ghutnou se jo khainchne laga
zalim ne gurz maara sar par