aflaak pukare ya abbas azadaar pukare ya abbas
hum sab hai tumhare ya abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
aashiqan e bawafa ki aa rahi hai ye sada
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
ya abbas e alamadar ya abbas e alamadar
jaise hi mere lab par abbas ka naam aya
abbas ke parcham ka mere sar pe hua saaya
ek noor e wafa phaila mere dil ne sukoon paaya
noori nazara hai abbas hyderi jalwa hai abbas
dilbar e zahra hai abbas saath hamesha hai abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
aflaak pukare ya abbas azadaar pukare ya abbas
hum sab hai tumhare ya abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
do sher hai dunya mein jiska na koi sani
ek sher e khuda hyder ek sher e ali ghazi
mashoor e zamana hai dono ki alamdari
ghazi ali ka hai sarmaya ghazi hussain ka hai saaya
ghazi hai sher e karbobala maula hamara hai abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
aashiqan e bawafa ki aa rahi hai ye sada
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
jab bhi gham e dunya se ye dil mera ghabraya
mai apni duaon mein abbas ko le aaya
ye waasta ghazi ka mere kaam bada aaya
gham ka madawa hai ghazi mera bharosa hai ghazi
mera aqeeda hai ghazi rab ka waseela hai abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
aflaak pukare ya abbas azadaar pukare ya abbas
hum sab hai tumhare ya abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
labbaik suno
abbas wafaon ka paikar hai
abbas jalaal e hyder hai
har dil mein dhadakta hai ghazi
abbas ka charcha ghar ghar hai
jis din se alamdari ka sharaf
shabbir se tum ne paaya hai
us din se lekar aaj talak
labbaik labbaik labbaik
hamare lab par hai
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
jab karbobala maula hum ko bhi bulayenge
abbas ke rauze par labbaik pukarenge
hum saamne ghazi ke nauha ye sunayenge
saamne paak haram hoga shaah e wafa ka gham hoga
zer e alam matam hoga waada hamara hai abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
aashiqan e bawafa ki aa rahi hai ye sada
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
jab shaam e ghariban mein ghurbat ki ghata chaayi
nauha tha ye zainab ka abbas mere bhai
jab chaadar chinti thi teri yaad bahot aayi
haye wo zainab ka nauha aur tadapna ghazi ka
gham ye tumhara ay maula aaj bhi taaza hai abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas
aflaak pukare ya abbas azadaar pukare ya abbas
hum sab hai tumhare ya abbas
labbaika ya abbas labbaika ya abbas