Kanz e Aza

Lashkare shah Ke Alamdar

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

Lashkar-e-shah Ke Alamdar

Abbas Abbas Abbas

Pisare Hyder-e-karrar

Wo Shabahat Mein Ali Wo Shujahat Mein Ali


Wo Ibadat Mein Ali Wo Saqawat Mein Ali

Misle Hyder Wahi Kirdar Abbas

Murtuza Ka Wo Pisar Jung Me Sina Wo Sifar

Bani Hasham Ka Qamar Shahe Wo Noore Nazar


Hazrate Ahmed E Muqtar Abbas

Ek Samundar Ki Tarha Mouje Kousar Ki Tarha

Jung-e-hyder Ki Tarha Ek Lashkar Ki Tarha

Foujhe Islam Ke Sardar Abbas


Qabza Dariya Pa Kiya Pani Chullu Mein Liya Aur Phir Pyasa Raha Hae Wo Teri Wafa

Dekhna Pani Ko Ek Bar Abbas

Dashat Me Shah-e- Zaman Aur Tapta Huwa Ban

Chur Zakmoun Se Baadan Bekaso Tashna Dahan


Lee Qabar Apne Abbas Abbas

De Sakina Ne Sada Aao Dariya Se Chacha

Shimr Karta Hai Jafa Sar Se Chini Hai Rida

Ghashme Hai Abed-e- Bimar Abbas


Ab Aisiri Hai Sitam Sar Hai Naizou Pe Alam

Berida Honge Haram Nange Sar Jayenge Hum

Hum Phirenge Sare Bazar Abbas

Ab To Akbar Bhi Nahi Hai Asghar Nahi Nahi


Hai Qasim Bhi Nahi Zainda Sarwar Bhi Nahi

Ham Hai Aur Sham Ka Darbar Abbas