lut gaya tera bhara ghar fatima
sar kahi'n laashe kahi'n par hai pade
bekafan hai aaj lashkar fatima
aagaye lutkar haram jo karbala
aaj aayi hai khule sar fatima
haaye wo bemaar e gham zainulleba
qaid se aaye hai'n chhut kar fatima
lashkar-e-kuffar se haq ke liye
aagaya hur bhi palat kar fatima
ek jhoola aur zainab ki rida
chhin gaye bachchi ke gouhar fatima
aarahi hai ab bhi sarwar ki sada
aate hai'n ham par bhi pathhar fatima
kis tarha bhai ko apne de kafan
chhin chuki zainab ki chadar fatima
koun hai bewou'n ki aaker le khabar
hai na abbas-e-dilawar fatima
khoon aisa phir baha na aaj tak
is zameen e karbala par fatima
dhoond kar asgher ko sughra thak gayi par mila na usko asgher fatima
dekh kar naize pe sar shabbir ka
chain tumko aaye kyu'n kar fatima
kaam deen e haq pe aakhir aagaye
zainabe muztar ke dilbar fatima
kya ata hai aapki iqbal par
hogaya nouha mayassar fatima