maar gaya baba teri zainab ko
abbas ka marna maar gaya
bin baazuon ke wo ghazi ka
ghode se girna maar gaya
jab qaime mein aaye shaahe umam
haathon mein tha bas ghazi ka alam
abbas nahi ab aayega
bhai ka ye kehna maar gaya
maar gaya baba...
mai sher ke jaise bhai ka
pehchan nahi paayi laasha
qasim ki tarha se ghazi ka
tukdon mein bikharna maar gaya
maar gaya baba...
jab aankh se teer nikaala tha
mai dekh rahi thi qaime se
mere ghazi ka khoon sarwar ke
haathon se tapakna maar gaya
maar gaya baba...
ye shaam ke zaalim to apne
ghodon ko pilaate hai pani
haaathon mein liye khaali kooze
bachon ka bilakna maar gaya
maar gaya baba...
jab se ye suna hai ke pyasa
saqqa e sakina maara gaya
ab pani nahi mil payega
asghar ka samajhna maar gaya
maar gaya baba...
zaalim ne chadaya tha ran mein
jis naize par abbas ka sar
us naize se baba meri
chadar ka utarna maar gaya
maar gaya baba...
rahwaar pe ho kar bhi jiske
khad paon zameen par khaynchte thay
us bhai ka asghar jaisi
turbat mein simatna maar gaya
maar gaya baba...
maqtal mein bahot dhoonda usne
laasha na mila do haath mile
un haathon se meri bacchi ka
ro ro ke lipatna maar gaya
maar gaya baba...
zeeshan kaha ye zainab ne
jab sheh chali tera zarbein
ghazi ko sadayein de de kar
bhai ka tadapna maar gaya
maar gaya baba...