mai aaraha hun moula
khat padhke shahe dee'n ka habeeb ibne mazahir
kehte the jigar thaam ke ye jaan hai hazir
nouha habeeb ka tha mai aaraha hu'n moula
sarkaar shahe wala mai aaraha hu'n moula
wajib hai har bashar par, islam ki hifazat
khushnudiye khuda hai, moula tumhari nusrat
ulfat ka hai takhaza mai aaraha hu'n moula
bachpan me jo kiya tha, wada nibhaunga mai
haq ye hai jaan apni, tum par lutaunga mai
hone ko tumpe sadqa mai aaraha hu'n moula
aansu nahi hai'n rukte, khat jabse padhliya hai
ghurbat ko teri padhkar, dil baith sa gaya hai
betaab dil hai mera mai aaraha hu'n moula
tey kar raha hu ab mai, moula ye raahe ulfat
manzoor hai ita'at, matloob hai shahadat
era hai ye fareeza malaaraha hu'n moula
tayyar jab huwi hai, fehrist nasirou'n ki
shamil kiya hai mujhko, ye hai karam nawazi
qurbaan jaau'n aaqa mai aaraha hu'n moula
kya zulm kya sitam hai, ye aale mustafa par
ghere huwe hain unko, pardes me sitamgar
lene ko unse badla mai aaraha hu'n moula
ulfat me teri paayi, dobaar zindagani
kehti hai khud zayeefi, laut aagayi jawani
nusrat ka leke jazba mai aaraha hu'n moula
sar par kafan ko bandhe, koofe se karbala ko
shouq-e-jihaad leke, koofe se karbala ko
mai aaraha hu'n moula mai aaraha hu'n moula
karbal ke raaste me, har lamha har qadam par
moshin kamaal dil ko, thaame mohibbe sarwar
roro ke keh raha tha mai aaraha hu'n moula