Kanz e Aza

Mai Aagayi Bhaiya

A noha for Arbayeen, written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

al qissa pahunche karbobala mein wo nauhagar

zainab tadap ke reh gayi bhai ki qabr par

is tarha bain karti thi wo sokhta jigar

bhabi ki godh ujad gayi bhaiya karo nazar

tum ko khabar hai hum pe jo aafat guzar gayi

qaid e sitam mein bali sakina guzar gayi


zainab ki duhaai thi mai aagayi bhaiya

kunbe ko tere kho kar zindan se bhi ho kar

mai aagayi bhaiya

zainab ki duhaai thi...


mai kaise bataun jo hui zulm o jafa hai

tum uth ke zara dekho jo kuch haal hua hai

bikhre hai mere gaysu zakhmi hai mere baazu

chadar luti bhaiya

zainab ki duhaai thi...


jab pusht se bemaar ki khayncha gaya bistar

us waqt usay aag se mai laayi bacha kar

ghash mein tha mera dilbar qaimon se usay laa kar

mai gir padi bhaiya

zainab ki duhaai thi...


aayaat e khuda utri sada arsh se hum par

barsaye gaye kothon se hum logon pe pathar

jis waqt tere sar par ek maara gaya pathar

mai ro padi bhaiya

zainab ki duhaai thi...


ek rassi mein hi baara galay baandh ke bhaiya

haiwan ki tarha khaynch ke le jaate thay aada

wo khaynchte has has kar hum uth'te thay gir gir kar

sharmaati thi bhaiya

zainab ki duhaai thi...


wo tum ne amaanat jo mujhe saumpi thi bhaiya

zindan mein wo tumko hi sada deti thi bhaiya

thay neele nishan us par kaano se chine gohar

roti rahi bhaiya

zainab ki duhaai thi...


tum khwab mein zindan se usay aaye thay lene

bas yaad tumhe karti rahi khwab se uth ke

zindanon mein ghut ghut kar haye phool si wo dukhtar

murjha gayi bhaiya

zainab ki duhaai thi...


zindan ke andhere mein chupa aayi hoo bhai

ek nanhi si turbat mai bana aayi hoo bhai

waada hai mera sarwar mai qabre sakina par

phir jaaungi bhaiya

zainab ki duhaai thi...


bhai ki lehad par jo gayi zainab e naalan

aankhon se rawan ashk thay ay majid o yazdan

aur gir ke wo turbat par ye kehti rahi ro kar

mai aagayi bhaiya

zainab ki duhaai thi...