ye keh rahi thi fatema
hai aakhri meri sada
mai jaa rahi hoo ya ali
haafiz mere ghar ke ho tum
haafiz tumhara hai khuda
mai jaa rahi hoo ya ali
dard uthaati hi rahi
har zarb par khamosh thi
tum se shikayat hi na ki
mai ab nahi jee paungi
ek zakhm hai asia laga
mai jaa rahi hoo ya ali
ye keh rahi thi fatema...
is zulm ki aadi na thi
kya mai nabi zaadi na thi
qismat ki shehzadi na thi
mai sabr bhi karti rahi
phir bhi sitam badta raha
mai jaa rahi hoo ya ali
ye keh rahi thi fatema...
ummat se naata tod ke
dunya se moo ko mod ke
khaaliq se rishta jod ke
bachon ko tanha chod ke
karti hui aah o buka
mai jaa rahi hoo ya ali
ye keh rahi thi fatema...
ye zainab o kulsoom hai
kamsin hai aur masoom hai
meri tarha mazloom hai
parda hai in ki zindagi
hone na paye berida
mai jaa rahi hoo ya ali
ye keh rahi thi fatema...
leti hoo jab mai siskiyan
aati hai mujhko hichkiyan
tooti hui hai phasliyan
mayyat ko meri qabr may
aahista se rakhna zara
mai jaa rahi hoo ya ali
ye keh rahi thi fatema...
mai sochti hoo ya ali
paas unke jab mai jaaungi
guzregi kya baba pe bhi
rukh par tamachaon ke nishan
dekhega jab baba mera
mai jaa rahi hoo ya ali
ye keh rahi thi fatema...
jo ahmed e mukhtar ki
beti thi ay majid wohi
zulm o sitam sehti rahi
rone lage sher e khuda
sun kar ye zehra ki sada
mai jaa rahi hoo ya ali
ye keh rahi thi fatema...