Kanz e Aza

Main Aapki Zehra Hun Baba

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Qabre Nabi Pa Fatema Zehra Ka Bain Tha

Baba Tumhare Samne Beti Ko Chain Tha

Jalta Hua Jo Mujh Pa Gira Dar Me Jal Gayi

Itne Sitam Huye Meri Surat Badal Gayi


Pehchaan Lo Apni Beti Ko, Main Aapki Zehra Hoon Baba

18 Baras Wali Dekho, Main Pehli Zaeefa Hoon Baba


Do Pasliyaan Meri Toot Gayi, Hoti Hai Azeeyat Seene Mein

Aur Saans Kabhi Aate Aate Ruk Jaati Hai Mere Seene

Har Saans Bahut Tadpati Hai, Is Tarah Main Zinda Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Jis Waqt Ali Aajate Hain, Jazbaat Daba Kar Rakhti Hoon

Jo Ungliyaan Meri Toot Gayi, Un Sabko Chhupa Kar Rakhti Hoon

Ehsaas Nahi Hone Deti, Pehlu Se Shikasta Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Darwaza Gira Sar Par Jab Se, Kuch Mujhko Nazar Aata Hai Nahi

Tooti Hai Kamar Is Tarah Meri, Ab Khud Se Chala Jaata Hai Nahi

Uthti Hoon Asa Lekar Aksar, Is Darja Zaeefa Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Jis Dar Par Farishte Aate The, Us Dar Ko Jalaya Hai Haaye

Mohsin Bhi Shikam Mein Maara Gaya, Ye Zulm Bhi Dhaaya Hai Haaye

Mere Dard Ke Behte Dariya Mein, Zakhmon Ka Safeena Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Takleef Hai Ye Bhi Ummat Ne Aawaazein Uthaayin, Rone Par

Paabandiyan Jitni Mumkin Thi, Woh Sab Lagaaein Rone Par

Jo Baap Ka Matam Kar Na Saki, Main Aisi Yateema Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Pehchaan Nahi Paoge Meri, Aankhon Mein Kaha Beenayi Hai

Hen Jhurriyaan Mere Chehre Par, Baalon Pe Safedi Chhaayi Hai

Main Lakht-e-Jigar To Aapki Thi, Ab Gham Ka Khazeena Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Mar Kar Bhi Nahi Qismat Mein Sukun, Roze Ko Bhi Mere Tod Diya

Din Mein Hai Musalsal Dhoop Yahan, Aur Shab Mein Bahut Hai Sannata

Ummat Ne Sitam Kab Roke Hain, Main Aaj Bhi Nishana Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Firdous Ki Shehzadi Bhi Khaali, Ye Ujdi Lehad Mein Rehti Hai

Baba Hai Payambar Aur Uski Beti Ye Museebat Sehti Hai

Ye Saare Musalmaan Bhool Gaye, Main Aapka Tukda Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba


Ayyame Aza-e-Zehra Hain, Abbas Yehi Gham Hota Rahe

Aur Saath Mein Akbar, Zehra Ke Mohsin Ka Bhi Matam Hota Rahe

Har Ghar Se Sadaayein Aati Rahein, Main Aapki Zehra Hoon Baba

Main Aapki Zehra Hoon Baba