bebasi hum ko chod ke girya chali gayi
allah ne bula liya amma chali gayi
mayyat se fatema ki jo lipte rahe hussain
amma ki band aankhon ko rote rahe hussain
amma se kehde baba ke uth jayein ek baar
khamosh kyun hai baatein karein hota hoon nisaar
faryad meri sunlo ye kehte rahe hussain
mayyat se fatema ki...
ek baar mujhko haathon se khaana khila do maa
mai hoon hussain mujhko to seene lagalo maa
kuch bolti nahi hai tadapte rahe hussain
mayyat se fatema ki...
mera khayal rakhega kaun ab tumhare baad
pani mujhe pilayega kaun ab tumhare baad
hasrat se bas janaze ko takte rahe hussain
mayyat se fatema ki...
kaise jiyunga amma yahan par tere bagahir
veeraniyan bhi kaatengi dar dar tere baghair
aansu baha ke bain ye karte rahe hussain
mayyat se fatema ki...
bin maa ke zindagi mein andhera hai chaa gaya
ye zeest se hamari ujaalon ko khaa gaya
ro ro ke haal dil ka sunaate rahe hussain
mayyat se fatema ki...
tum ko khuda ka waasta deta hai mera dil
tum ko kafan mein dekh ke phat'ta hai mera dil
aankhon ko kholo maa se kehte rahe hussain
mayyat se fatema ki...
sayib wo shor o shain wo bacchon ki thi fughan
tukde kaleje hota tha rota tha aasman
mukhtar ro ro maa ko bulaate rahe hussain
mayyat se fatema ki...