akbar jawan ki laash pe maadar ke hai ye bain
dooba hai khoon mein maara gaya mera noor e ain
utho ay beta deti sadayein hai tujhko maa
shaana hila ke bete ka kehti hai ro ro maa
ay laal kuch to bolo mile dil ko mere chain
akbar jawan ki laash pe...
ay laal tu hai baba ka aur mera laadla
naraaz ho to maa se kaho kya hai maajera
sun kar ye bain qaime mein hota hai shor o shain
akbar jawan ki laash pe...
moo choom ke wo bete ka seene pe gir padi
seene ka zakhm dekha to dil dhoondne lagi
boli kaleje hai kahan ay shaahe mashraqain
akbar jawan ki laash pe...
lakhte jigar ko mere jawani ye khaa gayi
shadi ke din thay beta tujhe maut aa gayi
sughra ko kya bataungi bolo ya noor e ain
akbar jawan ki laash pe...
harkat nahi hai jism mein kart anahi kalaam
pani pilao aankhon ko kholega tashna kaam
akbar ko sota dekh ke rote hai kyun hussain
akbar jawan ki laash pe...
tukde jigar ye hota hai ay mere naunehaal
tanha na chodo kar lo zaeefi ka kuch khayaal
hasrat se choome bete ke maadar ne ro ke nain
akbar jawan ki laash pe...
khoon mein hai doobe gaysu to chehra hai khoon bhara
sehra kahan mai baandhun bata do koi zara
dukha banaun kaise tujhe bol dil ke chain
akbar jawan ki laash pe...
saayib ye teer aur wo akbar jawan ki laash
bete ki laash pe hai dil e shaah paash paash
aankhon ka noor kho gaya kehte hai ye hussain
akbar jawan ki laash pe...