kya sakht majera hai kahani hussain ki
be-waqt kya miti hai nishani hussain ki
akbar ka tha shabab jawani hussain ki
akbar jawan thay jee se guzarne ke din na thay
ay dashte karbala abhi marne ke din na thay
ye deen se lagao ye dunya se be-dili
barchi wegha mein aake kaleje se jab lagi
kya aan baan thi ke palak tak nahi hili
akbar jawan thay jee se guzarne ke din na thay
ay dashte karbala abhi marne ke din na thay
kya teen din ki pyaas mein tewar dikha gaye
dunya ke naujawano ki himmat badha gaye
phoolon mein tul rahe thay sinanon mein aagaye
akbar jawan thay jee se guzarne ke din na thay
ay dashte karbala abhi marne ke din na thay
dekhiye maut aalam e imkaan e kis tarha
ye daagh utha liya shahe zeeshan ne kis tarha
dulha bana ke bhej diya maa ne kis tarha
akbar jawan thay jee se guzarne ke din na thay
ay dashte karbala abhi marne ke din na thay
ruqsat ke waqt bano e shabbir chup rahi
behnein ghareeb surat e tasveer chup rahi
sab ek samt zainab e dilgeer chup rahi
akbar jawan thay jee se guzarne ke din na thay
ay dashte karbala abhi marne ke din na thay
maana ke sabr o shukr ka dil mein wafoor tha
bacche ka gham na ho ye mohabbot se door tha
maadar ko inke byaah ka armaan zaroor tha