Kanz e Aza

Musafiron Ko Madina

A salaam for Safar e Imam Hussain, written by Najm Afandi. Lyrics in Roman Urdu.

safar hai kis ka ke tooba salaam kehta hai

faraaz e arshe mo'alla salaam kehta hai

ye kaun jaata hai kaaba salaam kehta hai

musafiron ko madina salaam kehta hai


hussain ye karam e kaar saaz kya kehna

durood o ishq o salaam e niyaz kya kehna

ye husn ki nigaye imtiyaz kya kehna

kisi ka jalwa e yakta salaam kehta hai

musafiron ko madina...


kidhar se dard ke maalik hawaye dard aayi

ye kis ki aah tadap kar faza may lehrayi

chale ho leke kidhar naazish e maseehayi

koi mareez tumhara salaam kehta hai

musafiron ko madina...


ye jaante hai bane ho rahe riza ke liye

bahot dino se ho be-chain karbala ke liye

hussain mud ke zara dekh lo khuda ke liye

rawaqe mashad e zehra salaam kehta hai

musafiron ko madina...


nazar ke hai ye ishare zaban nahi khulti

kisi ke dard ke maare zaban nahi khulti

nabi ke raaj dulaare zaban nahi khulti

dilon ka dard e maseeha salaam kehta hai

musafiron ko madina...


salaam lijiye aaqa ab apne bando ka

har ek qaum ke millat ke haq pasando ka

salaam saare zamane ke dard mandon ka

hussain saara zamana salaam kehta hai

musafiron ko madina...