Kanz e Aza

Nazar Jhuka Lo

A noha for Safar e Imam Hussain, written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

alwida aale mustafa


bayan karte hai ibne sinaane kufi se

utha ke parda jo baitush sharaf se sheh nikle

padha durood aur kursi pe aan kar baithe

lagayi chaaron taraf se qanaat qasim ne

bithaya akbar e mehru ne sab ko mehmil mein

pukara sher madine ka ghaiz mein aa kar

chadhe na chhat pa koi aur na balandi par


munadi deta tha yasarb mein ye sada logo

nazar jhuka lo ke zainab sawaar hoti hai


gharon se nikle na is dum koi bhi na mehram

safar pe jaate hai shaahe huda ke ahle haram

palat ke khair se aayn karo dua logo

nazar jhuka lo ke...


ali ki beti hai zehra ki chain hai bibi

waqar e faatah e badr o hunain hai bibi

janaza raat mein maadar ka hai utha logo

nazar jhuka lo ke...


behan se bhai aur maa se pisar bichadta hai

janabe fatema zehra ka ghar ujadta hai

ke ek hashr madine mein hai bapa logo

nazar jhuka lo ke...


pakad ke shaana bithaya phupi ko akbar ne

aur ek baazu sambhala hassan ke dilbar ne

do zaano baith ke abbas ne kaha logo

nazar jhuka lo ke...


hai aaj mehmil o haudaj bhi aur amaari bhi

badi hi shaan se jaati hai ye sawari bhi

na hogi gyarah muharram ko ye sada logo

nazar jhuka lo ke...


wo ek safar tha madine se karbala aana

aur ek karbobala se hai shaam tak jaana

safar mein farq bahot ho gaya bada logo

nazar jhuka lo ke...


hai aaj majma e aghyaar mein khadi zainab

mehaar thaam ke oonton ki ro padi zainab

rasan hai haath mein aur sar bhi hai khula logo

nazar jhuka lo ke...


badhe jo abide muztar to ek qayamat thi

aseer hathkadi zanjeer mein imamat thi

zameen pa baith ke bemaar ne kaha logo

nazar jhuka lo ke...


khamosh ho ke tadapti hai saani e zehra

nazar mein phir gayi tasveer phir se wawaila

ye nauha ainee ka aamir ne jab padha logo

nazar jhuka lo ke...