Kanz e Aza

Qaid ki Zanjeer

A noha for Imam Moosa e Kazim (a.s), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

matam hai aaj momino aise aseer ka

jiske badan ko qaid ki zanjeer kha gayi


zindan may ab bhi goonjta hai uska marsiya

jiske badan ko qaid ki zanjeer kha gayi


zindan ke andhere may mushkil khushaai ki

karta raha duayein jo apne rehayi ki

lo aaj uske waaste zindan khul gaya

jiske badan ko qaid ki...


faryad kar rahi hai wo zinda ki wehshatein

kaise bayan ho sake uski musibatein

bedi ke saath khaal bhi uski hui juda

jiske badan ko qaid ki...


koi to aa ke pusht pe durre laga gaya

koi pyala zehre dagha ka pila gaya

hae hae lahoo lohaan hai jafar ka laadla

jiske badan ko qaid ki...


dikhne lagi thi jisme mutahar ki haddiyan

kat kat gayi thi paon ki bedi se pindliyan

marne pe bhi na tauq e giranbar khul saka

jiske badan ko qaid ki...


quran e kirdigaar ke paare hai qaid may

ro ro ke chauda saal guzare hai qaid may

aakhir wo aaj hogaya zindan se reha

jiske badan ko qaid ki...


pul par andheri raat ko rakhne ko aaye hai

mazdoor apne kandhon pe laasha uthaye hai

roti hai uske haal pe marqad may fatema

jiske badan ko qaid ki...


kitna ghareeb aaj hamara imam hai

dafn o kafan ka saaman na kuch ehtemam hai

bhai na uske paas bhatija na mehlaqa

jiske badan ko qaid ki...


talqeen apne baba ko aa kar padhaiye

maula raza ye laash uthane ko aaiye

pul par rakha hua hai janaza ghareeb ka

jiske badan ko qaid ki...


ainee salaam sainkdon aamir ke ho usay

chalta tha qaid khane may jo baith baith ke

rangeen uske khoon se zindan ka farsh tha

jiske badan ko qaid ki...