Kanz e Aza

Tamacha Maare

A noha written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

dil pe kya guzregi behno ko jo bazaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dasht o sehra mein gali koochon mein darbaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare


dil laraz jaata hai bhai ka khayalon se bhi

zikr kya kije andheron ka ujalon se bhi

mehfile ghair mein pardes mein ghaddaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


naaz behno ka to maa'on ka jigar hota hai

baap ke baad to bhai hi padar hota hai

kalma goyon mein muhajir mein aur ansaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


bhai bhi aisa ho ghamkhwar hamiyat waala

hashmi ghairat o ehsaas o jalalat waala

dil phata jaata hai ye soch ke ghaddaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


har tamache pe jo bechain bahot hoti ho

dekh kar bhai ke chehre ko behan roti ho

naizabardaron gunahgaron khatakaaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


aisi mazlooma ko gar zulm o sitam ke baani

shiddate pyaas mein dikhlake bahade pani

ghudkiyan deke sar e raah sitamgaaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


sabr is raah mein aaye bhi to aaye kaise

bhai zanjeeron mein jakda hai bachaye kaise

haye chalta hai jo kanton mein aur angaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


baap ka sar jo sitamgaar dikhaye aa kar

ek masoom si bachi ko rulaye aa kar

teer o samsheer o chamakti hui talwaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


baad karbal na kabhi chain se soye abid

bas yehi soch ke ta zindagi roye abid

fatema zehra ki poti ko jo aghyaron mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...


dard ainee koi abid ke jigar se pooche

ya phir aamir zara shabbir ke sar se pooche

wo namak khwaron jafakaron mein maikharon mein

bhai ke saamne gar koi tamacha maare

dil pe kya guzregi...