ujdi hui basti hai isay kaise basayein
bikhre huwe laashon par sisakti hai hawayein
aati hai kahin ddor se pur dard sadayein
tanha hai dulaara zehra ka
jangal ki faza suni suni
har simt udaasi hai kaisi
kaisa hai ye manzar ghurbat ka
tanha hai dulaara...
aaya thi bhare ghar ko le kar
pur azm bahattar ka lashkar
koi na raha koi na bacha
tanha hai dulaara...
sab saaqi e kausar ke bacche
darya ke kanare pyase rahe
ek boondh unhe pani na mila
tanha hai dulaara...
hamshakle payambar qatl hua
akbar ka jigar barchi se chida
haathon pe pisar ka hai laasha
tanha hai dulaara...
farwa ka pisar wo ibne hassan
tukde tukde dulha ka badan
bikhra hua laasha qasim ka
tanha hai dulaara...
hai sakte ke aalam mein kubra
dulhan thi abhi ab hai bewa
ab kaun usay pursa dega
tanha hai dulaara...
abbas e ali saqqa e haram
shaane huwe dono inke qalam
hai saamne bhai ka laasha
tanha hai dulaara...
pyasa shesh maaha ran ko gaya
nanhe se galay par teer laga
baysheer mujahid qatl hua
tanha hai dulaara...
haathon mein liye kooze khaali
bechaini wo pyase bacchon ki
saqqa e sakina bhi na raha
tanha hai dulaara...
koi to zara is se pooche
ye kis ke uthaate hai laashe
de kaun usay bad kar pursa
tanha hai dulaara...
har simt se naize aur pathar
wo shimr e sitamgar ka khanjar
ab kat'ta hai pyase ka gala
tanha hai dulaara...
ek pyasa musafir jangal mein
khamosh khada tha maqtal mein
zakhmi zakhmi haatif ki sada
tanha hai dulaara...
maqtal mein rasheed ek hashr hua
sar hogaya sheh ka tan se juda
ek bekas maa deti hai sada
tanha hai dulaara...