Kanz e Aza

Tanha Hussain Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

tanha hussain hai


hai karbala ka ajeeb manzar

hussain tanha khade huwe hai


na ba sipaahi na ab hai lashkar

hussain tanha khade huwe hai


ye ghar nabi ka basa basaya

luta hai maqtal mein ay khudaya

sada musalsal wo de raha hai

palat ke ran se koi na aaya

habeeb hai ab na koi yawar

hussain tanha khade...


badan pe naiza kisi ne maara

kisi ne barchi ka phal utaara

madad ko aao koi khudara

lahoo mein tar hai libaas saara

chale bhi aao kahan ho akbar

hussain tanha khade…


kahan ho abbas aaj ran mein

ghareeb bhai ki jang dekho

tum ek saabir ki ek musafir

ki pyaas mein ye umang dekho

ye waqt e nusrat ay baradar

hussain tanha khade...


hai khaak aalood jis mein sarwar

lahoo se chehra ataa hua hai

nabi ki dastaar gir padi hai

abaa ka damaan phata hua hai

hai bain fizza ke ye labon par

hussain tanha khade...


hussain tanha hai shaam e gham hai

fughan hai chashme falak bhi nam hai

ye ek pyase pe kya sitam hai

badan hai zakhmi kamar bhi kham hai

nahi hai abbas sa dilawar

hussain tanha khade...


muarriqon ko bula ke poocho

viqar e insaniiyat kahan hai

shikasta pehlu pe haath rakh kar

jo ro rahi hai wo kaun maa hai

jo bain karti hai haye ro kar

hussain tanha khade...


ba roz e ashoor is jari ne

khuda ke deen ko nikhaar baksha

wajood e haq ko hayaat bakshi

rasool ko aetbaar baksha

khuda ke deen ke kafeel ban kar

hussain tanha khade...


mohib aza ko farogh dena

hussainiyat ka shiyaar rakhna

ay yazdan bibi ki aarzoo hai

ye farshe gham barqaraar rakhna

har ek zulm o sitam ki zad par

hussain tanha khade...