ay bhai mai to doshe nabi ka makeen tha
ay bhai mai toh fatema ka mahjabeen tha
ab aisa waqt aagaya ay mere bawafa
teeron ke aasman se bhaiya utaar le
abbas kahan ho chale aao
ghode se gir ke shaah ne ghazi ko di sada
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
takleef mein hussain hai ay mere bawafa
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
zeen e faras se gir ke zameen tak na mil saki
amma uthaye haathon ko faryadi ban gayi
kehti hai aa hussain meri godh mein zara
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...
teeron ke aasman pe zakhmi hussain hai
tashna dehan aqi hai kahan isko chain hai
uljha hua badan hai mera waaye ghurbata
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...
akbar ki laash uthaayi tum aaye nahi aqi
ab khatm hone waali hai sarwar ki zindagi
zaanu pe sar ko rakhle alamdare karbala
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...
amma uthaye haath ye kehti hai noor e ain
kehti hai aa ay laal meri godh mein hussain
bete ko uske maa se milaade ay bawafa
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...
ye lamha aakhri hai hamari hayaat ka
do boondh pani tum hi pilado furaat ka
sookha hi kat na jaaye gulu e shahe huda
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...
abbas aao teeron se mujhko utaar lo
kab se bula raha hoo mai imdaad to karo
ay bhai apne bhai ka todo na aasra
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...
shabbir ke galay pe churi chal gayi ke bas
ashoor ke ajeeb qayamat hui ke bas
ek bhai apne bhai se kehta hi reh gaya
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...
halq e shah e huda pe mubarak churi chali
rehan kya sunaye qayamat guzar gayi
kehta hua chala gaya dilband e fatema
teeron ke aasmaan se bhaiya utaar le
ghode se gir ke...