ye sochta hua qaime ko zuljanah chala
mere sawaar ki wo raah tak rahi hogi
pidar ki deed ko dar pe abhi khadi hogi
wo dekh kar kahin mar jaye na mera chehra
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
ye zuljanah pukaar utha kya karun aakhir
pade hai dasht may sarwar nahi koi naasir
mai kis tarha se karun sabr haye mere khuda
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
mere bhi jism se to jaa baja hai teer lage
lahoo hai mas shahe waala ka mere maathe se
wo dekhte hi kahegi ke khoon hai baba ka
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
jo kaifiyat shahe waala ki dekhi reti par
sakina saamne hai sab bayan karun kyun kar
wo keh rahi hai chale aaiye merre baba
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
sawaal jab wo karegi ay zuljanah bata
mila tha pyase ko pani ya mar gaya pyasa
bata de mujhko kahan reh gaye mere baba
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
chala hoo dekh ke ran se gala kata sheh ka
sitamgaron ne unhe maar daala wavaila
zameen e garm pe hai shaah e deen ka laasha
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
wo kehte reh gaye abbas ho kahan aao
sitam ki taygh se halqoom mera door karo
churi ke neeche nahi chalta bas mere bhaiya
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
galay pe sheh ke phirata tha shimr jab khanjar
hussain paaon lagadte thay jalti reti par
samaa ye dekh ke roti hai fatema zehra
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...
qalam bhi rota hai rehan waqiya likh kar
ab aur kuch bhi mubarak se ho bayan kyun kar
jaan e fatema par jatan ajeeb hua
mai kis zaban se kahunga hussain maare gaye
ye sochta hua qaime ko...