Zaalimo ne loota hai haaye ghar payambar ka
haaye kya qizaa'n chaayi gulshane mohammed par
karbala ke maidaa'n me khinch ke aagaya lashkar
koofiyo ne dhoke se shaahedee'n ko bulwa kar
zulm se gala kaata haaye ibne hyder ka
gar che zoufe peeri se jhuk gayi kamar dekho phir bhi sarware dee'n hai kitne be jigar dekho
fat'ha ho gaya qaibar ya ali idhar dekho
sheh ke dosh par laasha hai jawaan akbar ka
Haaye kya mazaalim hai haaye kya giraawat hai
barchiyo ki naizo ki kitni sansanaahat hai phir bhi qushk hoto'n par ek muskuraahat hai
qoo'n piya hai teero ne bezabaan asghar ka
"raaz" dil dhadakta hai sab adu puraane hai
badh ke dekhiye sarwar bhai kiske maane hai
laash kis taraf hogi ye to sirf shaane hai
alqama ke saahil tak qoon hai dilaawar ka