zainab ka tha ye nauha bhai hai bhuka pyasa
ay shimr tu teher ja bhai hai bhuka pyasa
sookhe gale pe khanjar mat phayr ay sitamgar
pani pilade thoda bhai hai bhuka pyasa
ay shimr tu teher ja…
zainab ka tha ye nauha…
seene se tu utar ja zaqmon may dard hoga
mazloom par taraz kha bhai hai bhuka pyasa
ay shimr tu teher ja…
zainab ka tha ye nauha…
khoya hai naujawan ko gaada hai bezaban ko
koi nahi hai us ka bhai hai bhuka pyasa
ay shimr tu teher ja…
zainab ka tha ye nauha…
chadar ko cheenle tu qaimon ko loot le tu
us ki nahi hai parwa bhai hai bhuka pyasa
ay shimr tu teher ja…
zainab ka tha ye nauha…
arz o samaa ke waali dena hai tu gawahi
pehlu may beh ke darya bhai hai bhuka pyasa
ay shimr tu teher ja…
zainab ka tha ye nauha…
ya fatema ab aao ya murtaza ab aao
dam todta hai beta bhai hai bhuka pyasa
ay shimr tu teher ja…
zainab ka tha ye nauha…