zainab ka ye noha tha tum laut ke aajao
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
ab shaam e ghariban ke aasaar numayan hai
is dashte musibat may ghar lutne ke samaan hai
kuch tumko khabar di hai hum jitne pareshan hai
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
zainab ka ye noha…
jab shaam hui ban may ye bain thay zainab ke
qaimon ko jalane ke hote hai yahan charche
tum shimr se ye kehdo chadar na meri cheene
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
zainab ka ye noha…
lo fauje yazeedi ne qaimon ko jala daala
lo jalne laga kurta masoom sakina ka
faryad ghaeerbon ki koi bhi nahi sunta
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
zainab ka ye noha…
ab cheenli aada ne ay bhai meri chadar
is aalam e ghurbat may hai khaak mere sar par
tum mere mohafiz ho batlado inhe aakar
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
zainab ka ye noha…
mai kitni akeli hoo tum aake zara dekho
kis tarha sambhalungi sehme hue bachon ko
ay bhai mere aakar zainab ko sahara do
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
zainab ka ye noha…
abbas nahi aaye dukh sehti rahi zainab
abbas nahi aaye roti hi rahi zainab
abbas nahi aaye ye kehti rahi zainab
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
zainab ka ye noha…
sarwar ke mohibbo may mehshar hai bapa ashraf
sar peet'te hai rokar sab ahle aza ashraf
kano may jo aati hai zainab ki sada ashraf
abbas mere bhaiya tum laut ke aajao
zainab ka ye noha…