jab qaid hui shaam ke zindan mein sakina
kehti thi ye rokar mere baba mere baba
lo jald khabar aan ke dum ghut-ta hai mera
is shaam ke zindan mein bala ka hai andhera
mar jaye na is aalame ghurbat mein sakina
jab qaid hui...
ye haal sakina ka huwa zulm o sitam se
kano se lahoo behta hai ruksaar hai neele
mar jaye na is aalame ghurbat mein sakina
jab qaid hui...
is darja andhera hai koi shamma jalade
jaa kar koi abbas e dilawar ko bulaade
mar jaye na is aalame ghurbat mein sakina
jab qaid hui...
kyun ghurkiyan dete hai mujhe aan ke aada
kuch dayr ko aajaiye pyare mere baba
mar jaye na is aalame ghurbat mein sakina
jab qaid hui...
is darja sitamgaron ne bachi ko sataya
us shaam ke zindan mein dam ghut gaya uska
ab khaak pe zindan mein soti hai sakina
jab qaid hui...
yun syed-e-sajjad ka dil kaamp raha hai
laasha jo sakina ka andhere mein rakha hai
ab khaak pe zindan mein soti hai sakina
jab qaid hui...
mai kaise kahoo gham se jigar phat'ta hai mere
kurta jo badan pe tha wohi uska kafan tha
ab khaak pe zindan mein soti hai sakina
jab qaid hui...
kuch bhi na meinasar tha wahan ghusl o kafan ko
kurte mein hi dafna diya bhai ne behen ko
ab khaak pe zindan mein soti hai sakina
jab qaid hui...
jab ahle haram laut ke hai aagaye ashraf
sajjad basad aah-o-fughan kehte thay ashraf
ab shaam ke zindan mein tanha hai sakina
jab qaid hui...