Kanz e Aza

Jab Sakina Ko Qaza

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

jab sakina ko qaza qaid mein aayi hogi

haye abid ne lehad kaise banayi hogi


jaake tasveere nabi khoon mein nahayi hogi

maa ne atharvi mannat na padhayi hogi

jab sakina ko…


haye kya kya na dile shah pa guzri hogi

qabr mein nanhi si mayyat ko litayi hogi

jab sakina ko…


aaj har simt fiza nauha sunaati hogi

paye abid mein jo zanjeer pehnayi hogi

jab sakina ko…