jab tak shahe mazloom pe giriya nahi hoga
saaman e sukoon-e-dil-e-zehra nahi hoga
1. chashmahe ka dekha hai gala teeron se chidte
aisi bhi kisi maa ka kaleja nahi hoga
jab tak shah -e- mazloom . . . . .
2. hain qasim -e- noushah bhi kubra bhi hai pyasi
aisi koi dulhan koi dulha nahi hoga
jab tak shah -e- mazloom . . . . .
3. jis tarha se qasim ke huwe laash ke tukde
iss tarha se tukde koi laasha nahi hoga
jab tak shah -e- mazloom . . . . .
4. godi bhi luti maang bhi ho jayegi sooni
bano ne kabhi haaye yeh soncha nahi hoga
jab tak shah -e- mazloom . . . . .
5. kehte the yahi beti se jate huwe sarwar
kal sone ko bibi mera sina nahi hoga
jab tak shah -e- mazloom . . . . .
6. laila ne kaha laash -e- akbar pe tadapkar
baithongi waha par jaha saya nahi hoga
jab tak shah -e- mazloom . . . . .
7. sar naize pe abbas ka ho shey ke mukhbila
abbas ko hargiz yeh gavara nahi hoga
jab tak shah -e- mazloom . . . . .