Kanz e Aza

Jabse Abbase Dilawar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

jabse abbas e dilawar ne uthaya hai alam

aasman kya arshe aala se bhi baala hai alam


chand suraj khud bichate hai wahan par roshni

jis jagah badne raha par aane wala hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


kitne maare hai tamache zulm ke rukhsar par

saaf wo panja zamane ko dikhata hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


hai rasaai arshe aazam tak faqad us haath ki

matame shabbir mein jo haath hota hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


de rahi hai ye hawaein aandhiyan bankar sada

saare jhande sar jhuka de aane waala hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


shaahe deen se berukhi ke jurm mein de kar sada

qaid karke mashq mein darya ko laaya hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


aagayi qaime ke dar par haath mein kooza liye

jab sakina ne suna darya se aata hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


ro rahi hai khaak par baithi hui saydaniya

haye ye kaisi khabar maqtal se laaya hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


apne seene se lagaye mashk ek mazloom ki

tashnagi ki daastan dohraye jaata hai alam

jabse abbas e dilawar ne…


dunya abbas gohar jiske sar ka taaj hai

saad war aisa zamane mein hamara hai alam

jabse abbas e dilawar ne…