hum na bhoolenge hum na bhoolenge
karbala na bhoolenge karbala na bhoolenge
rehbaron ki sar zameen hai ambiya ki rehguzar
mehwe sajda hai yahin par khaana e kaaba ka sar
sab ko milta hai yahan se khuld ka zaad e safar
hum na bhoolenge...
yaad baaqi hai khuda ki karbala ki yaad se
dhoom hai salle alaa ki karbala ki yaad se
saans chalti hai wafa ki karbala ki yaad se
hum na bhoolenge...
saaf go bebaak hai karte hai ye waada hussain
gham hai seene chaak hai karte hai ye waada hussain
jin ke shajre paak hai karte hai ye waada hussain
hum na bhoolenge...
saari dunya ko sunayenge bayan e karbala
apne seeno par likhenge daastan e karbala
hum kabhi jhukne nahi denge nishan e karbala
hum na bhoolenge...
apni jaanein nazr kar denge shahadat ke liye
dher sajdon ka laga denge hifazat ke liye
sar ke bal aayenge hum iski ziyarat ke liye
hum na bhoolenge...
karbala to qasre laa ilaah ki bunyad hai
sayyed e sajjad ka khutba to hum ko yaad hai
matami seeno mein ab bhi karbala aabad hai
hum na bhoolenge...
khoon se iska naam likh denge har ek manzar mein hum
farsh matam ka bicha denge zamane bhar mein hum
phir azakhana sajayenge khuda ke ghar mein hum
hum na bhoolenge...
khoon mein doobe huwe pyason ke laashe yaad hai
sehme sehme tashnalab masoom bacche yaad hai
dasht mein jalte huwe veeran qaime yaad hai
hum na bhoolenge...
aa rahi thi al-atash ki jo sadayein yaad hai
chin gayi thi jo saron se wo ridayein yaad hai
jo rasan basta thi wo majboor maayein yaad hai
hum na bhoolenge...
karbala ay karbala ay karbala ay karbala
hashr tak chalta rahega ye hussaini khaafila
sun rahe hai aaj bhi hum log hal min ki sada
hum na bhoolenge...
al-madad ay gohar e haq al-madad shaah e najaf
saaye mein aake alam ke hum uthaate hai halaf
raaste sab mod denge karbala teri taraf
hum na bhoolenge...