har taraf jaa baja saj gayi karbala
dene hum ko dua aagayi fatema
ghar ghar se har ghar se har dil se
matam ki sada aane lagi
khushboo e aza aane lagi
door hogi waba ab milegi shifa
khushboo e aza aane lagi
fatema zehra ke dil ke chain
assalaam alaika ya hussain
farshe aza bich gaya nauhon ki aayi sada
parchame ghazi khula hogayi majlis bapa
khuld e moalla se hawa aane lagi
khushboo e aza...
kar ke jo matam bapa tum ne kaha ya hussain
mil gaya ek baar phir fatema zehra ko chain
dekho baqayya se hawa aane lagi
khushboo e aza...
jalti hui dhoop mein nikla juloos e aza
dekh kar ye walwala ulfate shabbir ka
jhoom ke rehmat ki ghata aane lagi
khushboo e aza...
ulfate shabbir ke saanche mein dil dhalte hai
ya ali kehte huwe khaake shifa malte hai
chehra e momin pe jila aane lagi
khushboo e aza...
surat e tayghe ali sookhi zuban jab hui
asghar e baysheer ki jang yahan jab hui
naara e hyder ki sada aane lagi
khushboo e aza...
masnad e sheh jab bichi aur azakhana saja
ghar pe azadaar ke ghazi ka parcham saja
khul ke pharera jo hawa aane lagi
khushboo e aza...
kehta hua ya hussain khaafila e gham chala
haathon ne uth uth ke jab seeno pe sajda kiya
dushman e matam ko qaza aane lagi
khushboo e aza...
sheh ke jo ghamkhwar hai bakshne unko shifa
log jo bemaar hai bakshne unko shifa
leke shifa khaake shifa aane lagi
khushboo e aza...
zikre aza jaa baja karne lage nauhakhwan
gauhar e haq kyun na ho qalbe nabi shadman
ishq e hussaini ki ziya aane lagi
khushboo e aza...