sakina roti hai haye kidhar gaye ammu
hussain qaime mein mashk o alam laaye hai
magar taraayi pe saqqa ko chod aaye hai
na jaane kaisi wasiyat wo kar gaye ammu
sakina roti hai haye...
khud apne haathon se parcham mein mashk baandhi thi
wohi jagayi thi umeed pyase bacchon ki
kahan duaon ka lekar asar gaye ammu
sakina roti hai haye...
kamar ko haathon se thaame huwe hai kyun baba
chidi hai mashke alam khoon mein hai kyun dooba
ye kya hua kahan besifar gaye ammu
sakina roti hai haye...
ye kaise aaye hai aansu phupi ki aankhon mein
abhi to aas thi tashna labi ki aankhon mein
udhar bhi dekhti hai kabhi idhar gaye ammu
sakina roti hai haye...
kahin wo chand sa chehra nazar nahi aata
nigahein pyasi hai saqqa nazar nahi aata
udaas hai kahan rashke kamar gaye ammu
sakina roti hai haye...
ye poochti hai khayalon mein khoyi khoyi si
hai bibiyon ke saron par ridayein to baakhi
magar ye kis liye chehre utar gaye ammu
sakina roti hai haye...
shaheed hote to qaime mein laate sheh laasha
har ek shaheed ki mayyat ko laaye hai baba
kisi se pooche to kaise ke mar gaye ammu
sakina roti hai haye...
sakina bibi ki haalat ajeeb hai fidwi
ye sochti hai wo irfan pyaas ki maari
ke kaise toot ke kooze bikhar gaye ammu
sakina roti hai haye...